शनिवार, 9 जुलाई 2011

ग़ज़ल

mujhe, sirf mujhe pata hai ki mera wajood kya hai;
ye mere dil ko pata hai usme maujood kya hai...

jisko khabar hi nahi hai kisi deen-o-imaan ki;
use phir kya pata islam kya aur yahood kya hai...

us saudagar pe kya beeti ye usi se poochho;
jiska mool bhi doob gaya to phir sood kya hai...

har baar badal leta hai jo apna ghar yahan;
us musafir se ab poochho ki ab maqsood kya hai...