मंगलवार, 5 जून 2012

Kuch udaas chehre...!

Kuch udaas chehre
chaukhat pe khade

raah takte hain,

na jaane kaun gaya
tha kal,

na jaane kaun aayega,

ye intzaar,
ye ummeed,
ye bharosa
kabhi na tootne waala,

kal jo toot gaya
to jeena mushqil kar dega,

Zindagi ke jhoote
waade ,

aur kuch tooti kasme,

reh reh ke jalate hain,

par ek shaam jo chaukhat
pe chaand aayega,

sab bhool jaayenge
wahi log,

aur gale lag ke royenge,

un puraane zakhmon pe
marham lagayenge,

Ye ghana andhera chhat jaayega,

ujaale ruk jaayenge,
umaren lambi ho jaayengi,

hamesha rehne waala
neeras maahaul
phir wapas aa jaayega,

kal badlega,

par tab tak yunhi
chalta rahega,

intzaar kal ka,

inhi aankhon me
isi chaukhat par......!

रविवार, 3 जून 2012

B..c

kuch rasme thi ,
kuch aadat bhi,
aur kuch majboori maar gayi,

meri zindgi aise thi uljhi,
jo suljhaya to haar gayi.

magroor bhi the,
mash-hoor bhi the,

duniya ke nashe me choor bhi the,

ek jhonka aisa tha aaya,
jo baaki thi dushwaar huyi..(Zindgi),

tere  hi liye tadpa karte,
tere chalte sar peet liye,

jo haar aaye the kal parso,
wo aaj tujhi se jeet liye

ek rog use phir dhar laaya,
aur uska hi wo shikaar huyi..(Zindgi)..