रविवार, 6 मई 2012

raat

kuch raaten jo musalsal 
chalti rehti thi akeli,

andhere ko paar karti huyi
subah ki taraf,

chaand ki roshni me 
raasta dhoondhte huye,

kuch musafir jo lag jaate
hain saath saath,

raat ke seene pe sar rakh ke 
so jaate hain,

raat unhe aasra dilaati hai
aur yaqeen bhi,

yaqeen ujaale ka,
ek nayi subah ka,

thandi hawaon ka
jo behne ko hongi 
subah hone se pehle,

subah chidiyon ka jhund
chaukhat pe aayega,

mitti ke pateele me 
rakhe daane chugne,

raat ka bhi apna ek dil hota 
hoga,

ab nahi hai par shayad pehle 
hua karta tha,

tab raat sisakti rehti thi
andhere ke takiye me sar chuppaye,

ab raat veeran si rehti hai,
yunhi chalti rehti hai har roz

usi tarah, usi tafaf,har roz....!


कोई टिप्पणी नहीं: